`tik tik karti ghadi ke sang
ek ek pal yeh beeta jaye
mere sundar spne,
woh mere pyare apne
saath yeh leta jayee
jaise iski sui hai badti
waise hi meri dhadkan
ruk jayee toh tham jayee sab
jo na ruke toh phir maran hai!
samay ke is bhavar mein
yeh fasta hua mera mann
phir yaad kare hain ab
woh beeta hua har pal
woh milna yun ajnabiyo ki tarah
odhe sahmi hi muskan hooton par
woh anjaan koshish jaane ki,
samjhne ki ek duje ki chahte
woh choti choti batein
woh pyari pyari batein ,
ghir aati hai badlo ki tarah
ankhon ke is neele gagan par
mano betab ho saavan
aaj phir jhoomkar barasne ko
woh k ka roothna,phir duje ka manana
kisie ka hasna,kisie ka rona
bina kisie kam ghanto
phir canten mein phokatana!
woh maa se jhagadkar tiffin jaldie banwana
college aate hi sabko menu batana
phir chupke se kisie ek ka
bag se tiffin churana aur bakiyon ko chidana
kaise bhoolenge yeh pal,na bhool payenge yeh pal
har roj kisie dost se choti si baat par jhagadna
tum galat mein sahi dono ka is baat par adna
phir dono ka agle hi pal saath mein kehna
chal chod chai pila de mein galat tu sahi
har saans mein base yeh pal,na choot payenge yeh pal
woh ankhon ki nami
kisie ke behte aanson mein badalna
bin bole koi shabad ek duje ki baat ko samajhna
woh ek ke pass dil duje ke pass dimag hona
mano do jism mein ek jaan hona
kaise reh payenge hum,yun na jee payenge hum
woh apni hi tarif mein kisie ka magan hona
bade hi pyar se har shararat ko sehna
gusse mein bhie muskurakar har baat ko sunna
na kabhie apni mushkil batana
par gam humara har janana
badi hi samjhdarise usse suljhana
kaise has payenge hum, abna muskura payenge hum
kahan se layenge woh haath jinmein haath dale ghoomte the
ho is duniya se anjaan, jaise apna ho poora aasman
na darr kisie ka
bas santushti hai ki saath saath hai hum aaj
woh kandha kahan se layehnge,rakhkar jispar sir apna
ho jaata tha bade se bada gam beasar
na logon ki khabar ,na baton ka darr
bas vishwas hai ki saath hai ek hum safarkahan jaakar bahayngeyeh aanson
andar hi andar pathar ban jayenge yeh aanson
tumhari yadon se in par ibadat likhenge hum
tumhe bhool jaye aisa ho ,usse pehle samay ko ruk denge hum!!!
credit goes to krishnam
1 comment:
I'm really gonna miss this place...
I'm gonna miss mah college days...
yup...sahi hai.
Post a Comment